dil ne wafa ke nam par kar-e-wafa nahin kiya
dil ne vafā ke naam par kār-e-vafā nahīñ kiyā
ḳhud ko halāk kar liyā ḳhud ko fidā nahīñ kiyā
ḳhīra-sarān-e-shauq kā koī nahīñ hai jumba-dār
shahr meñ is giroh ne kis ko ḳhafā nahīñ kiyā
jo bhī ho tum pe mo'tariz us ko yahī javāb do
aap bahut sharīf haiñ aap ne kyā nahīñ kiyā
nisbat-e-'ilm hai bahut hākim-e-vaqt ko aziiz
us ne to kār-e-jahl bhī be-ulamā nahīñ kiyā
jis ko bhī shaiḳh o shaah ne hukm-e-ḳhudā diyā qarār
ham ne nahīñ kyā vo kaam haañ bā-ḳhudā nahīñ kiyā
dil ne wafa ke nam par kar-e-wafa nahin kiya
KHud ko halak kar liya KHud ko fida nahin kiya
KHira-saran-e-shauq ka koi nahin hai jumba-dar
shahr mein is giroh ne kis ko KHafa nahin kiya
jo bhi ho tum pe mo'tariz us ko yahi jawab do
aap bahut sharif hain aap ne kya nahin kiya
nisbat-e-'ilm hai bahut hakim-e-waqt ko aziz
us ne to kar-e-jahl bhi be-ulama nahin kiya
jis ko bhi shaiKH o shah ne hukm-e-KHuda diya qarar
hum ne nahin kya wo kaam han ba-KHuda nahin kiya
- Book : gumaan (Pg. 222)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.