dil-o-jaan sadqe hote kabhi dil nisar hota
dil-o-jān sadqe hote kabhī dil nisār hotā
tumheñ ham gale lagāte agar iḳhtiyār hotā
unheñ sochtā maiñ dil se to ġhazal ke phuul khilte
jo zabāñ pe harf aatā gul-e-mushk-bār hotā
mirā mo'atabar garebāñ mirā mohtaram garebāñ
na bahār ghar meñ aatī na ye tār-tār hotā
dar-e-ġhair par huā ḳham gayā e'tibār sar kā
dar-e-yār par jo jhuktā sar-e-iftiḳhār hotā
vo nigāh-e-nāz uThtī to ka.ī ke hosh uḌte
vo nigāh-e-nāz jhuktī to koī nisār hotā
rah-e-'ishq meñ haiñ ne'mat shab-e-ġham kī talḳhiyāñ bhī
jo guzārtā shab-e-ġham baḌā pur-vaqār hotā
dil-o-jaan sadqe hote kabhi dil nisar hota
tumhein hum gale lagate agar iKHtiyar hota
unhen sochta main dil se to ghazal ke phul khilte
jo zaban pe harf aata gul-e-mushk-bar hota
mera mo'atabar gareban mera mohtaram gareban
na bahaar ghar mein aati na ye tar-tar hota
dar-e-ghair par hua KHam gaya e'tibar sar ka
dar-e-yar par jo jhukta sar-e-iftiKHar hota
wo nigah-e-naz uThti to kai ke hosh uDte
wo nigah-e-naz jhukti to koi nisar hota
rah-e-'ishq mein hain ne'mat shab-e-gham ki talKHiyan bhi
jo guzarta shab-e-gham baDa pur-waqar hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.