dil-o-jigar ko mere dagh-dar rahne de
dil-o-jigar ko mire dāġh-dār rahne de
kisī kī siine meñ hai yādgār rahne de
laboñ pe mauj-e-tabassum ho aañkh meñ aañsū
ḳhizāñ meñ partav-e-rañg-e-bahār rahne de
shikast-e-lazzat-e-girya hai karb-e-rūhānī
maiñ ashk-bār bhalā ashk-bār rahne de
nahīñ nahīñ mujhe rāhat kī aarzū hī nahīñ
isī tarah se mujhe be-qarār rahne de
na mauj-e-ashk hasīnāñ pe bhuul ai 'altāf'
na DhūñD in meñ dur-e-shāhvār rahne de
dil-o-jigar ko mere dagh-dar rahne de
kisi ki sine mein hai yaadgar rahne de
labon pe mauj-e-tabassum ho aankh mein aansu
KHizan mein partaw-e-rang-e-bahaar rahne de
shikast-e-lazzat-e-girya hai karb-e-ruhani
main ashk-bar bhala ashk-bar rahne de
nahin nahin mujhe rahat ki aarzu hi nahin
isi tarah se mujhe be-qarar rahne de
na mauj-e-ashk hasinan pe bhul ai 'altaf'
na DhunD in mein dur-e-shahwar rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.