dil-o-nazar ko lahu mein Dubona aata hai
dil-o-nazar ko lahū meñ Dubonā aatā hai
na ab hañsī hameñ aa.e na ronā aatā hai
havā ke haath charāġhoñ se khelte haiñ yūñhī
ki haath bachchoñ ke jaise khilaunā aatā hai
ham ahl-e-zar ke daroñ par qadam nahīñ rakhte
gadā-e-ḳhāk haiñ miTTī pe sonā aatā hai
ḳhumār-e-dar-ba-drī chain se na rahne de
jo ḳhvāb aatā hai aksar salonā aatā hai
ġhazal ke sher haiñ mufrad magar vo shā.ir hai
jise sab ek laḌī meñ pironā aatā hai
dil-o-nazar ko lahu mein Dubona aata hai
na ab hansi hamein aae na rona aata hai
hawa ke hath charaghon se khelte hain yunhi
ki hath bachchon ke jaise khilauna aata hai
hum ahl-e-zar ke daron par qadam nahin rakhte
gada-e-KHak hain miTTi pe sona aata hai
KHumar-e-dar-ba-dri chain se na rahne de
jo KHwab aata hai aksar salona aata hai
ghazal ke sher hain mufrad magar wo shair hai
jise sab ek laDi mein pirona aata hai
- Book : Kulliyat-e-Asad Badayuni (Pg. 299)
- Author : Asad Badayuni
- Publication : National Council for Promotion of Urdu language-NCPUL (2008)
- Edition : 2008
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.