dil-o-nigah ko viran kar diya maine
dil-o-nigāh ko vīrān kar diyā maiñ ne
shikast-e-ḳhvāb kā elaan kar diyā maiñ ne
jo tiir aa.e the us kī taraf se siine par
sajā ke zaḳhmoñ kā gul-dān kar diyā maiñ ne
ġhamoñ kā taaj mire sar pe jab se rakkhā hai
ḳhud apne aap ko sultān kar diyā maiñ ne
na koī phuul hī rakhā na aarzū na charāġh
tamām ghar ko bayābān kar diyā maiñ ne
vo chāhtā thā ki sab kuchh luTā ke zinda rahūñ
lo aaj puurā ye armān kar diyā maiñ ne
maiñ zad pe tīroñ ke ḳhud aa gayā huuñ aaj 'zafar'
tire nishāne ko āsān kar diyā maiñ ne
dil-o-nigah ko viran kar diya main ne
shikast-e-KHwab ka elan kar diya main ne
jo tir aae the us ki taraf se sine par
saja ke zaKHmon ka gul-dan kar diya main ne
ghamon ka taj mere sar pe jab se rakkha hai
KHud apne aap ko sultan kar diya main ne
na koi phul hi rakha na aarzu na charagh
tamam ghar ko bayaban kar diya main ne
wo chahta tha ki sab kuchh luTa ke zinda rahun
lo aaj pura ye arman kar diya main ne
main zad pe tiron ke KHud aa gaya hun aaj 'zafar'
tere nishane ko aasan kar diya main ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.