dil par dhaDkan dhaDkan par wahm utare jate hain
dil par dhaḌkan dhaḌkan par vahm utāre jaate haiñ
ham apne hī ḳhauf ke hāthoñ maare jaate haiñ
dekhūñ to ā.īne kā zañgār sulagtā hai
band karūñ to āñkhoñ ke añgāre jaate haiñ
DhūñD rahe haiñ kab se apne lahje kā tiryāk
lafz hamāre ham par hī phunkāre jaate haiñ
na.e parinde na.ī uḌāneñ na.ī sahar ke giit
bedāroñ par raushan ḳhvāb utāre jaate haiñ
ādarshoñ kī Daar kā pīchhā karte galla-bān
apne ḳhvāboñ kī sarhad par maare jaate haiñ
dād-faroshī kāsa-lesī bār-e-shanāsā.ī
mahfil mahfil kyā kyā qarz utāre jaate haiñ
dil par dhaDkan dhaDkan par wahm utare jate hain
hum apne hi KHauf ke hathon mare jate hain
dekhun to aaine ka zangar sulagta hai
band karun to aankhon ke angare jate hain
DhunD rahe hain kab se apne lahje ka tiryak
lafz hamare hum par hi phunkare jate hain
nae parinde nai uDanen nai sahar ke git
bedaron par raushan KHwab utare jate hain
aadarshon ki Dar ka pichha karte galla-ban
apne KHwabon ki sarhad par mare jate hain
dad-faroshi kasa-lesi bar-e-shanasai
mahfil mahfil kya kya qarz utare jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.