dil pareshan hai kya kiya jae
dil pareshāñ hai kyā kiyā jaa.e
aql hairāñ hai kyā kiyā jaa.e
shauq-e-mushkil-pasand un kā husūl
saḳht āsāñ hai kyā kiyā jaa.e
ishq-e-ḳhūbāñ ke saath hī ham meñ
nāz-e-ḳhūbāñ hai kyā kiyā jaa.e
be-sabab hī mirī tabī.at-e-ġham
sab se nālāñ hai kyā kiyā jaa.e
bāvajūd un kī dil-navāzī ke
dil gurezāñ hai kyā kiyā jaa.e
maiñ to naqd-e-hayāt laayā thā
jins-e-arzāñ hai kyā kiyā jaa.e
ham samajhte the ishq ko dushvār
ye bhī āsāñ hai kyā kiyā jaa.e
vo bahāroñ kī nāz-parvarda
ham pe nāzāñ hai kyā kiyā jaa.e
misr-e-lutf-o-karam meñ bhī ai 'jaun'
yād-e-kan.āñ hai kyā kiyā jaa.e
dil pareshan hai kya kiya jae
aql hairan hai kya kiya jae
shauq-e-mushkil-pasand un ka husul
saKHt aasan hai kya kiya jae
ishq-e-KHuban ke sath hi hum mein
naz-e-KHuban hai kya kiya jae
be-sabab hi meri tabiat-e-gham
sab se nalan hai kya kiya jae
bawajud un ki dil-nawazi ke
dil gurezan hai kya kiya jae
main to naqd-e-hayat laya tha
jins-e-arzan hai kya kiya jae
hum samajhte the ishq ko dushwar
ye bhi aasan hai kya kiya jae
wo bahaaron ki naz-parwarda
hum pe nazan hai kya kiya jae
misr-e-lutf-o-karam mein bhi ai 'jaun'
yaad-e-kanan hai kya kiya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.