dil pareshan ho magar aankh mein hairani na ho
dil pareshāñ ho magar aañkh meñ hairānī na ho
ḳhvāb dekho ki haqīqat se pashemānī na ho
kyā huā ahl-e-junūñ ko ki duā māñgte haiñ
shahr meñ shor na ho dasht meñ vīrānī na ho
DhūñDte DhūñDte sab thak ga.e lekin na milā
ik ufuq aisā ki jo dhund kā zindānī na ho
ġham kī daulat baḌī mushkil se milā kartī hai
sauñp do ham ko agar tum se nigahbānī na ho
nafratoñ kā vahī malbūs pahan lo phir se
ain mumkin hai ye duniyā tumheñ pahchānī na ho
dil pareshan ho magar aankh mein hairani na ho
KHwab dekho ki haqiqat se pashemani na ho
kya hua ahl-e-junun ko ki dua mangte hain
shahr mein shor na ho dasht mein virani na ho
DhunDte DhunDte sab thak gae lekin na mila
ek ufuq aisa ki jo dhund ka zindani na ho
gham ki daulat baDi mushkil se mila karti hai
saunp do hum ko agar tum se nigahbani na ho
nafraton ka wahi malbus pahan lo phir se
ain mumkin hai ye duniya tumhein pahchani na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.