dil pe aafat aai ab ek aan mein
dil pe aafat aa.ī ab ik aan meñ
zulf kuchh kahtī hai us ke kaan meñ
saath is ke ġhair bhī aa jā.egā
kyuuñ ki us kāfir ko lā.ūñ dhyān meñ
qīmat-e-dil chāhiye bose ka.ī
aage jo aa.e tire īmān meñ
hai ye nafrat ġhair se laa.e nahīñ
rashk kā mazmūñ bhī ham dīvān meñ
pūchhtā kyā hai hamārī zindagī
jiite haiñ par maut ke armān meñ
taur marne ke na the 'sālik' tire
haañ magar rakhtā hai kyā insān meñ
dil pe aafat aai ab ek aan mein
zulf kuchh kahti hai us ke kan mein
sath is ke ghair bhi aa jaega
kyun ki us kafir ko laun dhyan mein
qimat-e-dil chahiye bose kai
aage jo aae tere iman mein
hai ye nafrat ghair se lae nahin
rashk ka mazmun bhi hum diwan mein
puchhta kya hai hamari zindagi
jite hain par maut ke arman mein
taur marne ke na the 'salik' tere
han magar rakhta hai kya insan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.