dil pe guzre hue haalat kise pesh karun
dil pe guzre hue haalat kise pesh karun
Khwaja Aminuddin Ameen
MORE BYKhwaja Aminuddin Ameen
dil pe guzre hue hālāt kise pesh karūñ
ġham meñ Duube hue lamhāt kise pesh karūñ
jin se ummīd-e-vafā thī vo sitamgar nikle
apnī barbādī kī har baat kise pesh karūñ
kitne armān ḳhudā jaane bhare haiñ dil meñ
ārzūoñ kī ye sauġhāt kise pesh karūñ
yād-e-māzī ko bhulā.ūñ to bhulā.ūñ kaise
ye guzarte hue din-rāt kise pesh karūñ
ik taḌap sī hai jo bechain kiyā kartī hai
dil meñ uThte hue jazbāt kise pesh karūñ
ham-navā koī nahīñ apnā zamāne meñ 'amīn'
apne dil-soz ye naġhmāt kise pesh karūñ
dil pe guzre hue haalat kise pesh karun
gham mein Dube hue lamhat kise pesh karun
jin se ummid-e-wafa thi wo sitamgar nikle
apni barbaadi ki har baat kise pesh karun
kitne arman KHuda jaane bhare hain dil mein
aarzuon ki ye saughat kise pesh karun
yaad-e-mazi ko bhulaun to bhulaun kaise
ye guzarte hue din-raat kise pesh karun
ek taDap si hai jo bechain kiya karti hai
dil mein uThte hue jazbaat kise pesh karun
ham-nawa koi nahin apna zamane mein 'amin'
apne dil-soz ye naghmat kise pesh karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.