dil pe jo guzre hai mere aah main kis se kahun
dil pe jo guzre hai mere aah maiñ kis se kahūñ
kyā karūñ maiñ ai mire allāh maiñ kis se kahūñ
jab na tum hī hāl-e-dil merā kabhī aa kar suno
to ye farmāo mujhe, allāh maiñ kis se kahūñ
mere sāhib ke zarā se rabt par bigḌeñ na ġhair
ġhair se tum se jo kuchh hai raah maiñ kis se kahūñ
dosto ab kahne sunñe se nahīñ kuchh fā.eda
vo to mere ġham se hai āgāh maiñ kis se kahūñ
yuuñ hī nāhaq sar phirāte haiñ mirā aa aa ke log
haal apnā ai but-e-gumrāh maiñ kis se kahūñ
be-qarārī kā sabab apnī kahūñ kis se 'nizām'
dil pe jo hai sadma-e-jāñ-kāh maiñ kis se kahūñ
dil pe jo guzre hai mere aah main kis se kahun
kya karun main ai mere allah main kis se kahun
jab na tum hi haal-e-dil mera kabhi aa kar suno
to ye farmao mujhe, allah main kis se kahun
mere sahib ke zara se rabt par bigDen na ghair
ghair se tum se jo kuchh hai rah main kis se kahun
dosto ab kahne sunne se nahin kuchh faeda
wo to mere gham se hai aagah main kis se kahun
yun hi nahaq sar phiraate hain mera aa aa ke log
haal apna ai but-e-gumrah main kis se kahun
be-qarari ka sabab apni kahun kis se 'nizam'
dil pe jo hai sadma-e-jaan-kah main kis se kahun
- Book : kulliyat-e-nizaam (Pg. 203)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.