dil pe jo guzri koi kya jaane
dil pe jo guzrī koī kyā jaane
ye to ham jāneñ yā ḳhudā jaane
ḳhaak jhelegā vo musībat-e-ishq
jo lagā kar na phir bujhā jaane
tū hī apnā maqām jāntā hai
ik zulūm-o-juhūl kyā jaane
kyā kare arz-e-mudda.ā vo bashar
ibtidā ko jo intihā jaane
bāda-noshoñ kā hashr kyā hogā
mujh balā-nosh kī balā jaane
baat rindī kī mujh ko aatī hai
pārsā.ī kī pārsā jaane
tujh ko apnī ḳhabar nahīñ ai 'josh'
to ḳhudā.ī ke raaz kyā jaane
dil pe jo guzri koi kya jaane
ye to hum jaanen ya KHuda jaane
KHak jhelega wo musibat-e-ishq
jo laga kar na phir bujha jaane
tu hi apna maqam jaanta hai
ek zulum-o-juhul kya jaane
kya kare arz-e-muddaa wo bashar
ibtida ko jo intiha jaane
baada-noshon ka hashr kya hoga
mujh bala-nosh ki bala jaane
baat rindi ki mujh ko aati hai
parsai ki parsa jaane
tujh ko apni KHabar nahin ai 'josh'
to KHudai ke raaz kya jaane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.