dil pe KHanjar wo mar kar KHush hain
dil pe ḳhanjar vo maar kar ḳhush haiñ
aur ham haiñ ki haar kar ḳhush haiñ
zindagī ne palaT ke dekhā hameñ
ham bhī us ko pukār kar ḳhush haiñ
duur jaatī huī tamanna kā
aks dil meñ utaar kar ḳhush haiñ
pahlī bārish ke ḳhushnumā bādal
rang-e-gulshan nikhār kar ḳhush haiñ
ḳhushk patte havā ke kāñdhoñ par
chand lamhe guzār kar ḳhush haiñ
dil ke is Dūbte safīne se
bār-e-ulfat utaar kar ḳhush haiñ
ġham ne muddat se maar rakkhā thā
aaj ham ġham ko maar kar ḳhush haiñ
dil pe KHanjar wo mar kar KHush hain
aur hum hain ki haar kar KHush hain
zindagi ne palaT ke dekha hamein
hum bhi us ko pukar kar KHush hain
dur jati hui tamanna ka
aks dil mein utar kar KHush hain
pahli barish ke KHushnuma baadal
rang-e-gulshan nikhaar kar KHush hain
KHushk patte hawa ke kandhon par
chand lamhe guzar kar KHush hain
dil ke is Dubte safine se
bar-e-ulfat utar kar KHush hain
gham ne muddat se mar rakkha tha
aaj hum gham ko mar kar KHush hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.