dil pe mushkil hai bahut dil ki kahani likhna
dil pe mushkil hai bahut dil kī kahānī likhnā
jaise bahte hue paanī pe ho paanī likhnā
koī uljhan hī rahī hogī jo vo bhuul gayā
mere hisse meñ koī shaam suhānī likhnā
aate jaate hue mausam se alag rah ke zarā
ab ke ḳhat meñ to koī baat purānī likhnā
kuchh bhī likhne kā hunar tujh ko agar mil jaa.e
ishq ko ashkoñ ke dariyā kī ravānī likhnā
is ishāre ko vo samjhā to magar muddat ba.ad
apne har ḳhat meñ use rāt-kī-rānī likhnā
dil pe mushkil hai bahut dil ki kahani likhna
jaise bahte hue pani pe ho pani likhna
koi uljhan hi rahi hogi jo wo bhul gaya
mere hisse mein koi sham suhani likhna
aate jate hue mausam se alag rah ke zara
ab ke KHat mein to koi baat purani likhna
kuchh bhi likhne ka hunar tujh ko agar mil jae
ishq ko ashkon ke dariya ki rawani likhna
is ishaare ko wo samjha to magar muddat baad
apne har KHat mein use raat-ki-rani likhna
- Book : Aandhiyo Dheere Chalo (Pg. 21)
- Author : Kunwar Bechain
- Publication : Vani Prakashan (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.