dil phir us kuche mein jaane wala hai
dil phir us kūche meñ jaane vaalā hai
baiThe-biThā.e Thokar khāne vaalā hai
tark-e-ta.alluq kā dhaḌkā sā hai dil ko
vo mujh ko ik baat batāne vaalā hai
kitne adab se baiThe haiñ sūkhe paude
jaise bādal sher sunāne vaalā hai
ye mat soch sarā.e par kyā bītegī
tū to bas ik raat bitāne vaalā hai
īñToñ ko aapas meñ milāne vaalā shaḳhs
asl meñ ik dīvār uThāne vaalā hai
gaaḌī kī raftār meñ aa.ī hai sustī
shāyad ab station aane vaalā hai
āḳhrī hichkī lenī hai ab aa jaao
ba.ad meñ tum ko kaun bulāne vaalā hai
dil phir us kuche mein jaane wala hai
baiThe-biThae Thokar khane wala hai
tark-e-talluq ka dhaDka sa hai dil ko
wo mujh ko ek baat batane wala hai
kitne adab se baiThe hain sukhe paude
jaise baadal sher sunane wala hai
ye mat soch sarae par kya bitegi
tu to bas ek raat bitane wala hai
inTon ko aapas mein milane wala shaKHs
asl mein ek diwar uThane wala hai
gaDi ki raftar mein aai hai susti
shayad ab station aane wala hai
aaKHri hichki leni hai ab aa jao
baad mein tum ko kaun bulane wala hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.