dil pukārā tirā ehsāñ sitam-ārā hotā
thā jahāñ dard vahīñ tiir bhī maarā hotā
kuchh na kuchh to mujhe marne kā sahārā hotā
haath achchhā sahī dil par mire maarā hotā
phir muḳhātab kiyā tum ne mujhe ulTī hī naqāb
ġhash mujhe aatā jo pahlā sā nazārā hotā
ruuh bhī tan se nikaltī to ye dil meñ rahtā
aap kā tiir mujhe jaan se pyārā hotā
bach gayā maz.haka hotā dam-e-mahshar kaisā
aap ke dhoke meñ yūsuf ko pukārā hotā
phir mujhe koī zamāne meñ satātā na hasīñ
garche māthe pe raqam naam tumhārā hotā
faḳhr ho jaatā mujhe baat mirī rah jaatī
bazm-e-ushshāq meñ mujh se jo ishārā hotā
fasl garmī kī hai jī chāhtā hai ai saaqī
mai-kashī hotī jo dariyā kā kinārā hotā
tū agar tiir lagātā mirī peshānī par
hashr tak vo mirī qismat kā sitārā hotā
ye to batlāo jo hotī ye kisī aur kī bazm
yuuñ bigaḌ jaate agar zikr hamārā hotā
kisī majma.e meñ agar qatl vo kartā ham ko
naam jallād kā aur kaam hamārā hotā
maiñ to majbūr thā ahbāb se ye kahtā kaun
vo bhī aa lete to turbat meñ utārā hotā
dard-e-dil ne mirī us vaqt iāñat kī hai
ye na uThtā to vo pahlū se sidhārā hotā
maiñ samajhtā huuñ ki aana hai masīhā kā muhāl
chārāgar hañste jo aane kā sahārā hotā
nāsehā tū hī samajh josh-e-javānī meñ bhalā
dil kā marnā hameñ kis tarah gavārā hotā
ḳhair ab thoḌī sī paḌh lete 'shafīq' urdu ham
zindagī kā hameñ gar apnī sahārā hotā
dil pukara tera ehsan sitam-ara hota
tha jahan dard wahin tir bhi mara hota
kuchh na kuchh to mujhe marne ka sahaara hota
hath achchha sahi dil par mere mara hota
phir muKHatab kiya tum ne mujhe ulTi hi naqab
ghash mujhe aata jo pahla sa nazara hota
ruh bhi tan se nikalti to ye dil mein rahta
aap ka tir mujhe jaan se pyara hota
bach gaya mazhaka hota dam-e-mahshar kaisa
aap ke dhoke mein yusuf ko pukara hota
phir mujhe koi zamane mein satata na hasin
garche mathe pe raqam nam tumhaara hota
faKHr ho jata mujhe baat meri rah jati
bazm-e-ushshaq mein mujh se jo ishaara hota
fasl garmi ki hai ji chahta hai ai saqi
mai-kashi hoti jo dariya ka kinara hota
tu agar tir lagata meri peshani par
hashr tak wo meri qismat ka sitara hota
ye to batlao jo hoti ye kisi aur ki bazm
yun bigaD jate agar zikr hamara hota
kisi majmae mein agar qatl wo karta hum ko
nam jallad ka aur kaam hamara hota
main to majbur tha ahbab se ye kahta kaun
wo bhi aa lete to turbat mein utara hota
dard-e-dil ne meri us waqt ianat ki hai
ye na uThta to wo pahlu se sidhaara hota
main samajhta hun ki aana hai masiha ka muhaal
chaaragar hanste jo aane ka sahaara hota
naseha tu hi samajh josh-e-jawani mein bhala
dil ka marna hamein kis tarah gawara hota
KHair ab thoDi si paDh lete 'shafiq' urdu hum
zindagi ka hamein gar apni sahaara hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.