dil rawan jis ka ho ek murshid-e-kaamil ki taraf
dil ravāñ jis kā ho ik murshid-e-kāmil kī taraf
kaun rokegā use jaane se manzil kī taraf
chaah kar bhī na agar ġham kā mudāvā ho to phir
maiñ chalī jaatī huuñ īmān-e-mufassal kī taraf
ye mirī maañ kī duā kā hī samar hai jo mujhe
tund lahroñ ne uchhālā bhī to sāhil kī taraf
chāhtā kaun hai rāhoñ meñ bhaTak jaanā magar
rāsta shar kā hī le jaatā hai jāhil kī taraf
zang jab ruuh ke ausāf ko lagtā hai to phir
dhaḌkaneñ dauḌ ke jaatī haiñ navāfil kī taraf
dil mujhe kahtā hai dhak dhak kī zabāñ meñ ye hī
jang kar nafs se tū dekh na bātil kī taraf
'shāz' ho jā.egā tai ziist kā be-nām safar
dekh mat tishna nigāhoñ se tū mahmil kī taraf
dil rawan jis ka ho ek murshid-e-kaamil ki taraf
kaun rokega use jaane se manzil ki taraf
chah kar bhi na agar gham ka mudawa ho to phir
main chali jati hun iman-e-mufassal ki taraf
ye meri man ki dua ka hi samar hai jo mujhe
tund lahron ne uchhaala bhi to sahil ki taraf
chahta kaun hai rahon mein bhaTak jaana magar
rasta shar ka hi le jata hai jahil ki taraf
zang jab ruh ke ausaf ko lagta hai to phir
dhaDkanen dauD ke jati hain nawafil ki taraf
dil mujhe kahta hai dhak dhak ki zaban mein ye hi
jang kar nafs se tu dekh na baatil ki taraf
'shaz' ho jaega tai zist ka be-nam safar
dekh mat tishna nigahon se tu mahmil ki taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.