dil-ruba dildar dil-ara na tha
dil-rubā dildār dil-ārā na thā
shahr meñ koī tire jaisā na thā
nā-ḳhudā.ī kā vo rutba le gayā
umr bhar paanī meñ jo utrā na thā
krishn ne kankar bahut pheñke magar
ab ke rādhā kā ghaḌā kachchā na thā
ḳhatm kar baiThā hai ḳhud ko bhiiḌ meñ
jab talak tanhā thā vo martā na thā
aks zāhir thā magar thā ik sarāb
naqsh dhuñdlā thā magar miTtā na thā
maiñ jiyā huuñ us samundar kī tarah
jis kī qismat meñ koī dariyā na thā
gard-ālūd aañkh thī 'zāhid' mirī
varna ā.īna to vo mailā na thā
dil-ruba dildar dil-ara na tha
shahr mein koi tere jaisa na tha
na-KHudai ka wo rutba le gaya
umr bhar pani mein jo utra na tha
krishn ne kankar bahut phenke magar
ab ke radha ka ghaDa kachcha na tha
KHatm kar baiTha hai KHud ko bhiD mein
jab talak tanha tha wo marta na tha
aks zahir tha magar tha ek sarab
naqsh dhundla tha magar miTta na tha
main jiya hun us samundar ki tarah
jis ki qismat mein koi dariya na tha
gard-alud aankh thi 'zahid' meri
warna aaina to wo maila na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.