dil-sahra aabaad bhi karna paDta hai
dil-sahrā ābād bhī karnā paḌtā hai
us zālim ko yaad bhī karnā paḌtā hai
be-maqsad ke shaġhl bhī raas aa jaate haiñ
vaqt kabhī barbād bhī karnā paḌtā hai
arz hī karte rahne meñ ghāTā hai bahut
kabhī kabhī irshād bhī karnā paḌtā hai
jalvoñ ke ḳhush-rañg parindoñ kī ḳhātir
āñkhoñ ko sayyād bhī karnā paḌtā hai
aamad ke qaa.el to ham bhī haiñ lekin
fan-pāra ījād bhī karnā paḌtā hai
dil-sahra aabaad bhi karna paDta hai
us zalim ko yaad bhi karna paDta hai
be-maqsad ke shaghl bhi ras aa jate hain
waqt kabhi barbaad bhi karna paDta hai
arz hi karte rahne mein ghaTa hai bahut
kabhi kabhi irshad bhi karna paDta hai
jalwon ke KHush-rang parindon ki KHatir
aankhon ko sayyaad bhi karna paDta hai
aamad ke qael to hum bhi hain lekin
fan-para ijad bhi karna paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.