dil se arman nikal rahe hain
dil se armāñ nikal rahe haiñ
mere bhī din badal rahe haiñ
varna ghar meñ hai ghup añdherā
yādoñ ke charāġh jal rahe haiñ
ye ajab log haiñ ki un ke
paañv nahīñ pe chal rahe haiñ
ham dar-e-shāh par savālī
aaj haiñ aur na kal rahe haiñ
vo hī pahuñcheñge yaar tak jo
girte girte sambhal rahe haiñ
ham niko naam to hue par
dil pe aare se chal rahe haiñ
un ko āzād kar jo ab tak
zer-e-habs-e-ilal rahe haiñ
un ko mahbūs kar jo kab se
qā.ede sab kuchal rahe haiñ
kah na karb-o-balā kā qissa
lafzoñ ke dil dahal rahe haiñ
dil se arman nikal rahe hain
mere bhi din badal rahe hain
warna ghar mein hai ghup andhera
yaadon ke charagh jal rahe hain
ye ajab log hain ki un ke
panw nahin pe chal rahe hain
hum dar-e-shah par sawali
aaj hain aur na kal rahe hain
wo hi pahunchenge yar tak jo
girte girte sambhal rahe hain
hum niko nam to hue par
dil pe aare se chal rahe hain
un ko aazad kar jo ab tak
zer-e-habs-e-ilal rahe hain
un ko mahbus kar jo kab se
qaede sab kuchal rahe hain
kah na karb-o-bala ka qissa
lafzon ke dil dahal rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.