dil se bahar hain KHaridar abhi
dil se bāhar haiñ ḳharīdār abhī
sāmne hai bharā bāzār abhī
aadmī saath nahīñ de saktā
tez hai saa.e kī raftār abhī
ye kaḌī dhuup ye rañgoñ kī phuvār
hai tirā shahr pur-asrār abhī
dil ko yuuñ thaam rakhā hai jaise
baiTh jā.egī ye dīvār abhī
aañch aatī hai sabā se 'bāqī'
kyā koī gul hai sharar-bār abhī
dil se bahar hain KHaridar abhi
samne hai bhara bazar abhi
aadmi sath nahin de sakta
tez hai sae ki raftar abhi
ye kaDi dhup ye rangon ki phuwar
hai tera shahr pur-asrar abhi
dil ko yun tham rakha hai jaise
baiTh jaegi ye diwar abhi
aanch aati hai saba se 'baqi'
kya koi gul hai sharar-bar abhi
- Book : Bar-e-Safar (Pg. 57)
- Author : Baqi Siddiqui
- Publication : Maktaba Urdu Daijest, Lahore (1969)
- Edition : 1969
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.