dil se dil mil jae aisa kaun hai
dil se dil mil jaa.e aisā kaun hai
is bharī duniyā meñ apnā kaun hai
aisī āñkheñ aise aariz aise hoñT
aa.ine se pūchho tum sā kaun hai
tū nahīñ lekin tirī yādeñ to haiñ
is hujūm-e-ġham meñ tanhā kaun hai
maiñ nahīñ huuñ gar tumhārā āshnā
phir tumhīñ batlāo achchhā kaun hai
chalne vāloñ ko kahāñ fursat 'shamīm'
girne vāloñ ko uThātā kaun hai
dil se dil mil jae aisa kaun hai
is bhari duniya mein apna kaun hai
aisi aankhen aise aariz aise honT
aaine se puchho tum sa kaun hai
tu nahin lekin teri yaaden to hain
is hujum-e-gham mein tanha kaun hai
main nahin hun gar tumhaara aashna
phir tumhin batlao achchha kaun hai
chalne walon ko kahan fursat 'shamim'
girne walon ko uThata kaun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.