dil se har guzri baat guzri hai
dil se har guzrī baat guzrī hai
kis qayāmat kī raat guzrī hai
chāñdnī nīm-vā darīcha sukūt
āñkhoñ āñkhoñ meñ raat guzrī hai
haa.e vo log ḳhūbsūrat log
jin kī dhun meñ hayāt guzrī hai
tamtamātā hai chehra-e-ayyām
dil pe kyā vārdāt guzrī hai
kisī bhaTke hue ḳhayāl kī mauj
kitnī yādoñ ke saat guzrī hai
phir koī aas laḌkhaḌā.ī hai
ki nasīm-e-hayāt guzrī hai
bujhte jaate haiñ dikhtī palkoñ pe diip
niiñd aa.ī hai raat guzrī hai
dil se har guzri baat guzri hai
kis qayamat ki raat guzri hai
chandni nim-wa daricha sukut
aankhon aankhon mein raat guzri hai
hae wo log KHubsurat log
jin ki dhun mein hayat guzri hai
tamtamata hai chehra-e-ayyam
dil pe kya wardat guzri hai
kisi bhaTke hue KHayal ki mauj
kitni yaadon ke sat guzri hai
phir koi aas laDkhaDai hai
ki nasim-e-hayat guzri hai
bujhte jate hain dikhti palkon pe dip
nind aai hai raat guzri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.