dil se har naqsh-e-tamanna ko miTa deta hai
dil se har naqsh-e-tamanna ko miTa deta hai
Zaheer Nashad Darbhangwi
MORE BYZaheer Nashad Darbhangwi
dil se har naqsh-e-tamannā ko miTā detā hai
ġham-e-jānāñ ġham-e-duniyā ko bhulā detā hai
husn kā ro.ab hai vo ro.ab ke jis ke aage
ishq-e-ḳhud.dār bhī sar apnā jhukā detā hai
ik e.ajāz hai tere lab-e-rā.anā kā sukūt
jo ḳhamoshī meñ takallum kā mazā detā hai
mujh se iflās ke bedād kī tashrīh na pūchh
bas ye insān ko maflūj banā detā hai
zauq-e-nazzāra pur-asrār chaman ke ruḳh se
rang-o-nik.hat ke hijābāt uThā detā hai
haa.e kyā chiiz hai ye dard-e-mohabbat 'nāshād'
pichhlī rātoñ ko mirī niiñd uḌā detā hai
dil se har naqsh-e-tamanna ko miTa deta hai
gham-e-jaanan gham-e-duniya ko bhula deta hai
husn ka roab hai wo roab ke jis ke aage
ishq-e-KHuddar bhi sar apna jhuka deta hai
ek eajaz hai tere lab-e-raana ka sukut
jo KHamoshi mein takallum ka maza deta hai
mujh se iflas ke bedad ki tashrih na puchh
bas ye insan ko mafluj bana deta hai
zauq-e-nazzara pur-asrar chaman ke ruKH se
rang-o-nikhat ke hijabaat uTha deta hai
hae kya chiz hai ye dard-e-mohabbat 'nashad'
pichhli raaton ko meri nind uDa deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.