dil se ek yaad bhula di gai hai
dil se ik yaad bhulā dī ga.ī hai
kisī ġhaflat kī sazā dī ga.ī hai
maiñ ne manzil kī duā māñgī thī
merī raftār baḌhā dī ga.ī hai
aib dīvār ke hoñge zāhir
merī tasvīr haTā dī ga.ī hai
maiñ ne ik dil pe hukūmat kyā kī
mujhe talvār thamā dī ga.ī hai
ab mohabbat kā sabab hai vahshat
varna hasrat to miTā dī ga.ī hai
ab yahāñ se nahīñ jā saktā koī
ab yahāñ sham.a jalā dī ga.ī hai
mujh meñ ab phuul nahīñ nahīñ khil sakte
merī ab ḳhaak uḌā dī ga.ī hai
is liye jam ke yahāñ baiThā huuñ
mujh ko merī hī jagah dī ga.ī hai
dil se ek yaad bhula di gai hai
kisi ghaflat ki saza di gai hai
main ne manzil ki dua mangi thi
meri raftar baDha di gai hai
aib diwar ke honge zahir
meri taswir haTa di gai hai
main ne ek dil pe hukumat kya ki
mujhe talwar thama di gai hai
ab mohabbat ka sabab hai wahshat
warna hasrat to miTa di gai hai
ab yahan se nahin ja sakta koi
ab yahan shama jala di gai hai
mujh mein ab phul nahin nahin khil sakte
meri ab KHak uDa di gai hai
is liye jam ke yahan baiTha hun
mujh ko meri hi jagah di gai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.