dil se josh-e-shabab jata hai
dil se josh-e-shabāb jaatā hai
ziist se iztirāb jaatā hai
ruḳh pe Daale naqāb jaatā hai
abr meñ māhtāb jaatā hai
jaane ko to shabāb jaatā hai
kar ke miTTī ḳharāb jaatā hai
apnā ahd-e-shabāb jaatā hai
sar se saarā azaab jaatā hai
ruḳh-e-raushan pe aa.ī haiñ zulfeñ
saur meñ āftāb jaatā hai
dekheñ girtī haiñ bijliyāñ kis par
ruḳh se sarkā naqāb jaatā hai
fikr-e-ālam se ho ke ab āzād
dil se ḳhāna-ḳharāb jaatā hai
is tarah jā rahā huuñ maiñ 'asġhar'
jaise sarmast-e-ḳhvāb jaatā hai
dil se josh-e-shabab jata hai
zist se iztirab jata hai
ruKH pe Dale naqab jata hai
abr mein mahtab jata hai
jaane ko to shabab jata hai
kar ke miTTi KHarab jata hai
apna ahd-e-shabab jata hai
sar se sara azab jata hai
ruKH-e-raushan pe aai hain zulfen
saur mein aaftab jata hai
dekhen girti hain bijliyan kis par
ruKH se sarka naqab jata hai
fikr-e-alam se ho ke ab aazad
dil se KHana-KHarab jata hai
is tarah ja raha hun main 'asghar'
jaise sarmast-e-KHwab jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.