dil se kah aaheñ na har aan bhare
kuchh jigar ho to dam insān bhare
ḳhvāhishoñ ko maiñ karūñ kyā ai sabr
ghar meñ muflis ke haiñ armān bhare
ham to mizhgāñ kī namat ham-chashmoñ
ḳhālī haath aa.e haiñ armān bhare
ashk daanā hai to nazroñ se na gir
dāman is dhabbe se nādān bhare
zabt roke na to dikhlā.ūñ aañkh
pal meñ paanī abhī tūfān bhare
chashm-e-ushshāq ke bar ro mat aa
ai sadaf dur ne tire kaan bhare
gar vo but nām-e-ḳhudā goyā ho
kalima kā dam na musalmān bhare
fauj alfāz kī bhartī hai 'nasīm'
sher par kun se haiñ dīvān bhare
dil se kah aahen na har aan bhare
kuchh jigar ho to dam insan bhare
KHwahishon ko main karun kya ai sabr
ghar mein muflis ke hain arman bhare
hum to mizhgan ki namat ham-chashmon
KHali hath aae hain arman bhare
ashk dana hai to nazron se na gir
daman is dhabbe se nadan bhare
zabt roke na to dikhlaun aankh
pal mein pani abhi tufan bhare
chashm-e-ushshaq ke bar ro mat aa
ai sadaf dur ne tere kan bhare
gar wo but nam-e-KHuda goya ho
kalima ka dam na musalman bhare
fauj alfaz ki bharti hai 'nasim'
sher par kun se hain diwan bhare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.