dil se nikle to zaban tak pahunche
dil se nikle to zabāñ tak pahuñche
ġham ke ahvāl yahāñ tak pahuñche
haath uThte haiñ falak kī jānib
ab duā dekho kahāñ tak pahuñche
ham jo aate to vahīñ tak aate
tum jo pahuñche to yahāñ tak pahuñche
josh-e-parvāz meñ uḌtā paḌtā
shauq-e-parvāz jahāñ tak pahuñche
hosh kho.e to tirī rah paa.ī
paañv sañbhle to makāñ tak pahuñche
un ke iqrār kā kyā hai 'rāzī'
vo jo inkār meñ haañ tak pahuñche
dil se nikle to zaban tak pahunche
gham ke ahwal yahan tak pahunche
hath uThte hain falak ki jaanib
ab dua dekho kahan tak pahunche
hum jo aate to wahin tak aate
tum jo pahunche to yahan tak pahunche
josh-e-parwaz mein uDta paDta
shauq-e-parwaz jahan tak pahunche
hosh khoe to teri rah pai
panw sanbhle to makan tak pahunche
un ke iqrar ka kya hai 'raazi'
wo jo inkar mein han tak pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.