dil se nikli hai dastan shayad
dil se niklī hai dāstāñ shāyad
ek ik harf hai zabāñ shāyad
aao aage qadam baḌhā.eñ zarā
Thahrā Thahrā hai kārvāñ shāyad
mujh ko pahuñchā de merī manzil tak
jazba-e-shauq-e-kāmrāñ shāyad
dil yaqīnan hai saltanat us kī
hai vahī dil pe hukmarāñ shāyad
mustaqil imtihān-gāh meñ huuñ
vo bhī le merā imtihāñ shāyad
aaj Duube haiñ gahrī fikr meñ vo
merī āñkheñ haiñ tarjumāñ shāyad
ham zamīñ par haiñ sirf ik maḳhlūq
āsmāñ par hai āsmāñ shāyad
un ke chehre kī ek ek lakīr
shīshagar kī hai ik dukāñ shāyad
bhuul kar bhī to ḳhat nahīñ likhte
ho ga.e haiñ vo bad-gumāñ shāyad
kārvān-e-hayāt raqs meñ hai
manzileñ ho ga.iiñ ravāñ shāyad
dil samajhte haiñ jis ko ahl-e-ishq
ik shikasta sā hai makāñ shāyad
kuchh hijābāt rah ga.e baaqī
aap ke mere darmiyāñ shāyad
har jagah hai 'razā' vahī maujūd
maiñ jahāñ huuñ vahāñ nahīñ shāyad
dil se nikli hai dastan shayad
ek ek harf hai zaban shayad
aao aage qadam baDhaen zara
Thahra Thahra hai karwan shayad
mujh ko pahuncha de meri manzil tak
jazba-e-shauq-e-kaamran shayad
dil yaqinan hai saltanat us ki
hai wahi dil pe hukmaran shayad
mustaqil imtihan-gah mein hun
wo bhi le mera imtihan shayad
aaj Dube hain gahri fikr mein wo
meri aankhen hain tarjuman shayad
hum zamin par hain sirf ek maKHluq
aasman par hai aasman shayad
un ke chehre ki ek ek lakir
shishagar ki hai ek dukan shayad
bhul kar bhi to KHat nahin likhte
ho gae hain wo bad-guman shayad
karwan-e-hayat raqs mein hai
manzilen ho gain rawan shayad
dil samajhte hain jis ko ahl-e-ishq
ek shikasta sa hai makan shayad
kuchh hijabaat rah gae baqi
aap ke mere darmiyan shayad
har jagah hai 'raza' wahi maujud
main jahan hun wahan nahin shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.