dil se nikli hai gar dua meri
dil se niklī hai gar du'ā merī
rang lā.egī har du'ā merī
ek din un ko aur koī nahīñ
lā.egī mere ghar du'ā merī
dekhnā ḳhud-baḳhud hī de degī
un ko merī ḳhabar du'ā merī
un ko har ġham se duur rakkhegī
dekhnā 'umr bhar du'ā merī
chārāgar rahne de davā apnī
zaḳhm ko degī bhar du'ā merī
un ke dil meñ mirī jagah kar de
kuchh to kar kuchh to kar du'ā merī
dil se nikli hai gar du'a meri
rang laegi har du'a meri
ek din un ko aur koi nahin
laegi mere ghar du'a meri
dekhna KHud-baKHud hi de degi
un ko meri KHabar du'a meri
un ko har gham se dur rakkhegi
dekhna 'umr bhar du'a meri
chaaragar rahne de dawa apni
zaKHm ko degi bhar du'a meri
un ke dil mein meri jagah kar de
kuchh to kar kuchh to kar du'a meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.