dil se nikli hui har aah ki tasir mein aa
dil se niklī huī har aah kī tāsīr meñ aa
maañg le rab se mujhe aur mirī taqdīr meñ aa
rābta mujh se dil-o-jāñ kā agar rakhnā hai
mujh se vābasta kisī halqa-e-zanjīr meñ aa
maiñ banātā huuñ taḳhayyul ke qalam se paikar
merī tahrīr mire dard kī tasvīr meñ aa
ye bhī mumkin hai kasāfat hī diloñ kī dhul jaa.e
merī āñkhoñ se jo bahtā hai isī niir meñ aa
Dhal na jaa.e kahīñ ye husn-e-suḳhan ai 'anvar'
dil ye kahtā hai ki is zulf-e-girah-gīr meñ aa
dil se nikli hui har aah ki tasir mein aa
mang le rab se mujhe aur meri taqdir mein aa
rabta mujh se dil-o-jaan ka agar rakhna hai
mujh se wabasta kisi halqa-e-zanjir mein aa
main banata hun taKHayyul ke qalam se paikar
meri tahrir mere dard ki taswir mein aa
ye bhi mumkin hai kasafat hi dilon ki dhul jae
meri aankhon se jo bahta hai isi nir mein aa
Dhal na jae kahin ye husn-e-suKHan ai 'anwar'
dil ye kahta hai ki is zulf-e-girah-gir mein aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.