dil se paigham-e-ulfat miTane ke baad
dil se paiġhām-e-ulfat miTāne ke baad
kho diyā phir tujhe ham ne paane ke baad
vo sulagte rahe dil jalāne ke baad
ham to phir hañs paḌe TuuT jaane ke baad
ab to raste bhī apne judā ho ga.e
baat bantī nahīñ choT khāne ke baad
jaa.eñ jaa.eñ hameñ kuchh nahīñ vāsta
dil-lagī na kareñ dil jalāne ke baad
ham ko is se kahāñ koī inkār hai
ghar banā hai makāñ tere jaane ke baad
jāntī huuñ ki us kā hai sheva yahī
vo rulā.egā ham ko hañsāne ke baad
shādmāñ vo nazar aa rahe the bahut
kaifiyat apnī ġham kī chhupā ne ke baad
sochtī huuñ 'shagufta' ajab baat hai
ham ne paayā hai us ko gañvāne ke baad
dil se paigham-e-ulfat miTane ke baad
kho diya phir tujhe hum ne pane ke baad
wo sulagte rahe dil jalane ke baad
hum to phir hans paDe TuT jaane ke baad
ab to raste bhi apne juda ho gae
baat banti nahin choT khane ke baad
jaen jaen hamein kuchh nahin wasta
dil-lagi na karen dil jalane ke baad
hum ko is se kahan koi inkar hai
ghar bana hai makan tere jaane ke baad
jaanti hun ki us ka hai shewa yahi
wo rulaega hum ko hansane ke baad
shadman wo nazar aa rahe the bahut
kaifiyat apni gham ki chhupa ne ke baad
sochti hun 'shagufta' ajab baat hai
hum ne paya hai us ko ganwane ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.