dil se shauq-e-ruKH-e-niku na gaya
dil se shauq-e-ruḳh-e-nikū na gayā
jhāñknā-tāknā kabhū na gayā
har qadam par thī us kī manzil lek
sar se saudā-e-justajū na gayā
sab ga.e hosh o sabr va taab o tavāñ
lekin ai daaġh dil se tū na gayā
dil meñ kitne musavvade the vale
ek pesh us ke rū-ba-rū na gayā
sub.ha-gardāñ hī 'mīr' ham to rahe
dast-e-kotāh tā-subū na gayā
dil se shauq-e-ruKH-e-niku na gaya
jhankna-takna kabhu na gaya
har qadam par thi us ki manzil lek
sar se sauda-e-justaju na gaya
sab gae hosh o sabr wa tab o tawan
lekin ai dagh dil se tu na gaya
dil mein kitne musawwade the wale
ek pesh us ke ru-ba-ru na gaya
subha-gardan hi 'mir' hum to rahe
dast-e-kotah ta-subu na gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.