Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

waraq-e-intiKHab dil mein hai

Ali Zaheer Rizvi Lakhnavi

waraq-e-intiKHab dil mein hai

Ali Zaheer Rizvi Lakhnavi

MORE BYAli Zaheer Rizvi Lakhnavi

    varaq-e-intiḳhāb dil meñ hai

    ek taaza kitāb dil meñ hai

    kis ko dikhlā.ūñ apne haal

    raushan ik āftāb dil meñ hai

    raushnī hai usī ke chehre

    vo jo ik māhtāb dil meñ hai

    band āñkhoñ meñ ek aalam hai

    kisī manzar ḳhvāb dil meñ hai

    sab siine meñ ho rahā hai 'zahīr'

    dard kā.enāt dil meñ hai

    waraq-e-intiKHab dil mein hai

    ek taza kitab dil mein hai

    kis ko dikhlaun apne ji ka haal

    raushan ek aaftab dil mein hai

    raushni hai usi ke chehre ki

    wo jo ek mahtab dil mein hai

    band aankhon mein ek aalam hai

    kisi manzar ka KHwab dil mein hai

    sab hi sine mein ho raha hai 'zahir'

    dard ki kaenat dil mein hai

    Source :
    • Book : Jab Zaminon Se Shajar Ugtey Hain (Pg. 111)
    • Author : Ali Zaheer
    • Publication : Educational Publishing House (1994)
    • Edition : 1994

    Tagged Under

    Dil
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now