dil shikasta hai ruh pyasi hai
dil shikasta hai ruuh pyāsī hai
ek be-nām sī udāsī hai
ranj kyā aish kyā tamīz kise
silsila-vār bad-havāsī hai
sāf-goī ki vasf thī pahle
in dinoñ jurm-e-nāravā sī hai
kitnā āsāñ hai mo'atabar honā
kitnī dushvār ḳhud-shanāsī hai
merī isyāñ-nigāhī kā maujib
aap kī muḳhtasar-libāsī hai
thoḌī jur.at se kyā nahīñ hotā
phir vo laḌkī bhī ādī-bāsī hai
mere sheroñ meñ fan nahīñ na sahī
aap kī raa.e iqtibāsī hai
reshmī zulf chāñd-sā chehra
sar pe āñchal magar kapāsī hai
pyāsī pyāsī hai aarzū 'afzal'
mamlikat dil kī karbalā sī hai
dil shikasta hai ruh pyasi hai
ek be-nam si udasi hai
ranj kya aish kya tamiz kise
silsila-war bad-hawasi hai
saf-goi ki wasf thi pahle
in dinon jurm-e-narawa si hai
kitna aasan hai mo'atabar hona
kitni dushwar KHud-shanasi hai
meri isyan-nigahi ka maujib
aap ki muKHtasar-libasi hai
thoDi jurat se kya nahin hota
phir wo laDki bhi aadi-basi hai
mere sheron mein fan nahin na sahi
aap ki rae iqtibasi hai
reshmi zulf chand-sa chehra
sar pe aanchal magar kapasi hai
pyasi pyasi hai aarzu 'afzal'
mamlikat dil ki karbala si hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.