dil taDap kar bahal gaya shayad
dil taḌap kar bahal gayā shāyad
shauq phir se machal gayā shāyad
kyoñ darīche pukārte haiñ mujhe
phir se mausam badal gayā shāyad
hosh añgḌā.ī le ke jaag uThā
vasl kā chāñd Dhal gayā shāyad
tiir jo āḳhirī thā tarkash meñ
apne hī dil pe chal gayā shāyad
aa rahī hai nidā-e-girya-e-sañg
koī gir kar sambhal gayā shāyad
dil taDap kar bahal gaya shayad
shauq phir se machal gaya shayad
kyon dariche pukarte hain mujhe
phir se mausam badal gaya shayad
hosh angDai le ke jag uTha
wasl ka chand Dhal gaya shayad
tir jo aaKHiri tha tarkash mein
apne hi dil pe chal gaya shayad
aa rahi hai nida-e-girya-e-sang
koi gir kar sambhal gaya shayad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.