Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil talabgar-e-naz-e-mah-wash hai

Wali Mohammad Wali

dil talabgar-e-naz-e-mah-wash hai

Wali Mohammad Wali

MORE BYWali Mohammad Wali

    dil talabgār-e-nāz-e-mah-vash hai

    lutf us agarche dilkash hai

    mujh suuñ kyuuñ kar milegā hairāñ huuñ

    shoḳh hai bevafā hai sarkash hai

    kyā tirī zulf kyā tire abrū

    har taraf suuñ mujhe kashākash hai

    tujh bin ai dāġh-baḳhsh-e-sīna o dil

    chaman-e-lāla dasht-e-ātash hai

    ai 'valī' tajrabe suuñ paayā huuñ

    shola-e-āh-e-shauq be-ġhash hai

    dil talabgar-e-naz-e-mah-wash hai

    lutf us ka agarche dilkash hai

    mujh sun kyun kar milega hairan hun

    shoKH hai bewafa hai sarkash hai

    kya teri zulf kya tere abru

    har taraf sun mujhe kashakash hai

    tujh bin ai dagh-baKHsh-e-sina o dil

    chaman-e-lala dasht-e-atash hai

    ai 'wali' tajrabe sun paya hun

    shola-e-ah-e-shauq be-ghash hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now