dil tha dulha, duniya dulhan
dil thā dūlhā, duniyā dulhan
pahlī hī ratiyā ho ga.ī an-ban
maiñ murlīdhar, maiñ man-mohan
tū hai rādhā, tū hai padman
maiñ huuñ sādhū, tū hai aasan
maiñ huuñ saperā, tū hai nāgan
man hai jhelam tan sundarvan
tū kashmīran, tū bangālan
merā terā kaisā bandhan
maiñ TuuTā dil, tū hai dhaḌkan
tujh se chipkūñ tujh se lipTūñ
maiñ huuñ naag aur tū hai chandan
chandā jaisā mukhḌā terā
nadiyā nadiyā terā joban
tujh ko dekhūñ, ḳhud ko dekhūñ
tū hai jaise koī darpan
dil tha dulha, duniya dulhan
pahli hi ratiya ho gai an-ban
main murlidhar, main man-mohan
tu hai radha, tu hai padman
main hun sadhu, tu hai aasan
main hun sapera, tu hai nagan
man hai jhelam tan sundarwan
tu kashmiran, tu bangalan
mera tera kaisa bandhan
main TuTa dil, tu hai dhaDkan
tujh se chipkun tujh se lipTun
main hun nag aur tu hai chandan
chanda jaisa mukhDa tera
nadiya nadiya tera joban
tujh ko dekhun, KHud ko dekhun
tu hai jaise koi darpan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.