dil tha manus sard aahon se
dil thā mānūs sard aahoñ se
baḌh gayā rabt kaj-kulāhoñ se
ham ne baḳhshā tumheñ faroġh-e-nazar
aur hamīñ gir ga.e nigāhoñ se
mai-kade kā to naam hai badnām
fitne uThte haiñ ḳhānqāhoñ se
jo fasāna zabāñ tak aa na sakā
aaj ham kah ga.e nigāhoñ se
be-sahāroñ kā kuchh shumār bhī hai
kaun pūchhe jahāñ-panāhoñ se
aaj kahnā hī paḌ gayā 'muslim'
dushman achchhe haiñ ḳhair-ḳhvāhoñ se
dil tha manus sard aahon se
baDh gaya rabt kaj-kulahon se
hum ne baKHsha tumhein farogh-e-nazar
aur hamin gir gae nigahon se
mai-kade ka to nam hai badnam
fitne uThte hain KHanqahon se
jo fasana zaban tak aa na saka
aaj hum kah gae nigahon se
be-sahaaron ka kuchh shumar bhi hai
kaun puchhe jahan-panahon se
aaj kahna hi paD gaya 'muslim'
dushman achchhe hain KHair-KHwahon se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.