dil tere husn ki kirnon ko giraftar kare
dil tire husn kī kirnoñ ko giraftār kare
roz ta.amīr koī nuur kā mīnār kare
maiñ ab is tarah guzartā huuñ galī se us kī
jaise andhā koī Dar Dar ke saḌak paar kare
maiñ vo sūraj huuñ ki zanjīr pighal jaatī hai
vo mujhe reshmī dhāgoñ se giraftār kare
ḳhvāb kī laash paḌī hai na janāza na kafan
dil kise phone kare aur kise taar kare
dil tere husn ki kirnon ko giraftar kare
roz tamir koi nur ka minar kare
main ab is tarah guzarta hun gali se us ki
jaise andha koi Dar Dar ke saDak par kare
main wo suraj hun ki zanjir pighal jati hai
wo mujhe reshmi dhagon se giraftar kare
KHwab ki lash paDi hai na janaza na kafan
dil kise phone kare aur kise tar kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.