dil teri yaad ke sahaare par
dil tirī yaad ke sahāre par
zindagī kis tarah guzāre par
ham dil-o-jān haar baiThe haiñ
husn ke ek hī ishāre par
Daar se haT ke ik uḌaan bharī
noch Daale ga.e hamāre par
ishq buniyād kyoñ uThātā hai
aksar-o-beshtar ḳhasāre par
haiñ ba-zāhir jo mast mast nahīñ
aañkh rakhte haiñ har sitāre par
dil teri yaad ke sahaare par
zindagi kis tarah guzare par
hum dil-o-jaan haar baiThe hain
husn ke ek hi ishaare par
Dar se haT ke ek uDan bhari
noch Dale gae hamare par
ishq buniyaad kyon uThata hai
aksar-o-beshtar KHasare par
hain ba-zahir jo mast mast nahin
aankh rakhte hain har sitare par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.