Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil to har chiz pe bachcha sa machal jata hai

Imran Shamshad Narmi

dil to har chiz pe bachcha sa machal jata hai

Imran Shamshad Narmi

dil to har chiiz pe bachcha machal jaatā hai

jeb jab DāñTne lagtī hai sañbhal jaatā hai

jab bhī maiñ sochtā huuñ raat nahīñ jaane

duur us ghar meñ koī bulb jal jaatā hai

raat ke vaqt ubhartā hai junūñ sūraj

din nikalte kisī chāñd meñ Dhal jaatā hai

ye jo sariyā hai tafāḳhur tirī gardan meñ

azhdahā ban ke ye qaumoñ ko nigal jaatā hai

ek baat banā detī hai har bigḌī baat

ek shaḳhs zamāne ko badal jaatā hai

to 'narmī' hai mirī jaan isī chakkar meñ

'mīr' sāhab palīthan bhī nikal jaatā hai

dil to har chiz pe bachcha sa machal jata hai

jeb jab DanTne lagti hai sanbhal jata hai

jab bhi main sochta hun raat nahin jaane ki

dur us ghar mein koi bulb sa jal jata hai

raat ke waqt ubharta hai junun ka suraj

din nikalte hi kisi chand mein Dhal jata hai

ye jo sariya hai tafaKHur ka teri gardan mein

azhdaha ban ke ye qaumon ko nigal jata hai

ek hi baat bana deti hai har bigDi baat

ek hi shaKHs zamane ko badal jata hai

tu to 'narmi' hai meri jaan isi chakkar mein

'mir' sahab ka palithan bhi nikal jata hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now