dil to karta hai KHair karta hai
dil to kartā hai ḳhair kartā hai
aap kā zikr ġhair kartā hai
kyuuñ na maiñ dil se duuñ duā us ko
jabki vo mujh se bair kartā hai
aap to hū-ba-hū vahī haiñ jo
mere sapnoñ meñ sair kartā hai
ishq kyuuñ aap se ye dil merā
mujh se pūchhe baġhair kartā hai
ek zarra duā.eñ maañ kī le
āsmānoñ kī sair kartā hai
dil to karta hai KHair karta hai
aap ka zikr ghair karta hai
kyun na main dil se dun dua us ko
jabki wo mujh se bair karta hai
aap to hu-ba-hu wahi hain jo
mere sapnon mein sair karta hai
ishq kyun aap se ye dil mera
mujh se puchhe baghair karta hai
ek zarra duaen man ki le
aasmanon ki sair karta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.