dil tujhe naz hai jis shaKHs ki dildari par
dil tujhe naaz hai jis shaḳhs kī dildārī par
dekh ab vo bhī utar aayā adākārī par
maiñ ne dushman ko jagāyā to bahut thā lekin
ehtijājan nahīñ jaagā mirī bedārī par
aadmī aadmī ko khaa.e chalā jaatā hai
kuchh to tahqīq karo is na.ī bīmārī par
kabhī is jurm pe sar kaaT diye jaate the
ab to in.aam diyā jaatā hai ġhaddārī par
terī qurbat kā nasha TuuT rahā hai mujh meñ
is qadar sahl na ho tū mirī dushvārī par
mujh meñ yuuñ taaza mulāqāt ke mausam jaage
aa.ina hañsne lagā hai mirī tayyārī par
koī dekhe bhare bāzār kī vīrānī ko
kuchh na kuchh muft hai har shai kī ḳharīdārī par
bas yahī vaqt hai sach muñh se nikal jaane do
log utar aa.e haiñ zālim kī taraf-dārī par
dil tujhe naz hai jis shaKHs ki dildari par
dekh ab wo bhi utar aaya adakari par
main ne dushman ko jagaya to bahut tha lekin
ehtijajan nahin jaga meri bedari par
aadmi aadmi ko khae chala jata hai
kuchh to tahqiq karo is nai bimari par
kabhi is jurm pe sar kaT diye jate the
ab to inam diya jata hai ghaddari par
teri qurbat ka nasha TuT raha hai mujh mein
is qadar sahl na ho tu meri dushwari par
mujh mein yun taza mulaqat ke mausam jage
aaina hansne laga hai meri tayyari par
koi dekhe bhare bazar ki virani ko
kuchh na kuchh muft hai har shai ki KHaridari par
bas yahi waqt hai sach munh se nikal jaane do
log utar aae hain zalim ki taraf-dari par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.