dil un ko de chuke hain magar baat bhi to ho
dil un ko de chuke haiñ magar baat bhī to ho
un se kabhī hamārī mulāqāt bhī to ho
maanā ki qalb-o-jāñ meñ vo rahte haiñ zau-fishāñ
zāhir meñ un ke nuur kī barsāt bhī to ho
un ke sivā na chāñd sitāre dikhā.ī deñ
aisī hameñ nasīb koī raat bhī to ho
dekhe baġhair sajda adā kis tarah kareñ
pesh-e-nazar hamāre tirī zaat bhī to ho
un ko valī-ahd-e-jahāñ kaise maan leñ
tīra-shabī meñ nūr-e-karāmāt bhī to ho
'mashkūr' ma.azarat kā koī mas.ala nahīñ
kis baat par ḳhafā haiñ koī baat bhī to ho
dil un ko de chuke hain magar baat bhi to ho
un se kabhi hamari mulaqat bhi to ho
mana ki qalb-o-jaan mein wo rahte hain zau-fishan
zahir mein un ke nur ki barsat bhi to ho
un ke siwa na chand sitare dikhai den
aisi hamein nasib koi raat bhi to ho
dekhe baghair sajda ada kis tarah karen
pesh-e-nazar hamare teri zat bhi to ho
un ko wali-ahd-e-jahan kaise man len
tira-shabi mein nur-e-karamat bhi to ho
'mashkur' mazarat ka koi masala nahin
kis baat par KHafa hain koi baat bhi to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.