dil unhen roe jo sail-e-tirgi mein gum hue
dil unheñ ro.e jo sail-e-tīrgī meñ gum hue
yā unheñ jo aap apnī raushnī meñ jal-bujhe
husn ho jaatā hai jis lamhe zarūrat kā asiir
ek ho jaate haiñ us dam ḳhair-o-shar ke dā.ere
sab havā ke ruḳh par uḌte barg ke haiñ ham-navā
kaun le us kī ḳhabar rahtā hai jo patthar tale
raushnī darkār hai to ḳhud hī rauzan vā karo
muntazir kab tak rahoge tum havā-e-tez ke
koī to hotā jo ḳhūn-e-fan kī qīmat jāntā
dost nāshir se to ab tak uzr-nāme hī mile
dil unhen roe jo sail-e-tirgi mein gum hue
ya unhen jo aap apni raushni mein jal-bujhe
husn ho jata hai jis lamhe zarurat ka asir
ek ho jate hain us dam KHair-o-shar ke daere
sab hawa ke ruKH par uDte barg ke hain ham-nawa
kaun le us ki KHabar rahta hai jo patthar tale
raushni darkar hai to KHud hi rauzan wa karo
muntazir kab tak rahoge tum hawa-e-tez ke
koi to hota jo KHun-e-fan ki qimat jaanta
dost nashir se to ab tak uzr-name hi mile
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.