dil uski dastaras se dur hai kya
dil us kī dastaras se duur hai kyā
ye mujrim aaj bhī mafrūr hai kyā
ye duniyā bojh bantī jā rahī hai
tirā 'āshiq koī mazdūr hai kyā
maiñ apne sach pe sharminda nahīñ huuñ
tumheñ ye aa.ina manzūr hai kyā
mohabbat vaale haiñ kitne zamīñ par
akelā chāñd hī be-nūr hai kyā
maiñ apnī tarh se dil hārtā huuñ
mohabbat kā koī manshūr hai kyā
Darāte ho ḳhudā kā naam le kar
ye banda is qadar majbūr hai kyā
dil us ki dastaras se dur hai kya
ye mujrim aaj bhi mafrur hai kya
ye duniya bojh banti ja rahi hai
tera 'ashiq koi mazdur hai kya
main apne sach pe sharminda nahin hun
tumhein ye aaina manzur hai kya
mohabbat wale hain kitne zamin par
akela chand hi be-nur hai kya
main apni tarh se dil haarta hun
mohabbat ka koi manshur hai kya
Daraate ho KHuda ka nam le kar
ye banda is qadar majbur hai kya
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 99)
- Author : Nomaan Shauque
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.