dil wahi hai jis mein wo dildar hai
dil vahī hai jis meñ vo dildār hai
aañkh vo hai jis meñ rū-e-yār hai
tālib-e-dīdār se parda nahīñ
kyoñ hijāb-e-ruḳh naqāb-e-yār hai
hai ḳhitāb us rind kā mast-e-alast
jo sharāb-e-ishq kā sarshār hai
rang-e-gul phīkā hai jis ke sāmne
itnā rangīñ yaar kā ruḳhsār hai
DhūñDte haiñ kis ko ye ahl-e-talab
vo to ham sab ke gale kā haar hai
yā ḳhudā 'akbar' kī kashtī ko nikāl
tū hī is beḌe kā khevan-hār hai
dil wahi hai jis mein wo dildar hai
aankh wo hai jis mein ru-e-yar hai
talib-e-didar se parda nahin
kyon hijab-e-ruKH naqab-e-yar hai
hai KHitab us rind ka mast-e-alast
jo sharab-e-ishq ka sarshaar hai
rang-e-gul phika hai jis ke samne
itna rangin yar ka ruKHsar hai
DhunDte hain kis ko ye ahl-e-talab
wo to hum sab ke gale ka haar hai
ya KHuda 'akbar' ki kashti ko nikal
tu hi is beDe ka khewan-haar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.