dil yar ka taKHt hua hi nahin
dil yaar kā taḳht huā hī nahīñ
jīvan ḳhush-baḳht huā hī nahīñ
ise toḌnā bhī to narmī se
ye dil kabhī saḳht huā hī nahīñ
āñkhoñ ne bahut isrār kiyā
sapnā do laḳht huā hī nahīñ
ham hañs kar use rulā dete
vo aur karaḳht huā hī nahīñ
tujh shahar tujhe ham aa milte
koī sāz-o-raḳht huā hī nahīñ
ham chhāñv bichhāte duur talak
koī harf daraḳht huā hī nahīñ
miTTī ke mādho rahe sadā
ham sā kaj-baḳht huā hī nahīñ
dil yar ka taKHt hua hi nahin
jiwan KHush-baKHt hua hi nahin
ise toDna bhi to narmi se
ye dil kabhi saKHt hua hi nahin
aankhon ne bahut israr kiya
sapna do laKHt hua hi nahin
hum hans kar use rula dete
wo aur karaKHt hua hi nahin
tujh shahar tujhe hum aa milte
koi saz-o-raKHt hua hi nahin
hum chhanw bichhate dur talak
koi harf daraKHt hua hi nahin
miTTi ke madho rahe sada
hum sa kaj-baKHt hua hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.