dil ye hairan pareshan hua karta tha
dil ye hairān pareshān huā kartā thā
jab koī dukh mirā mehmān huā kartā thā
itnī hairat bharī āñkhoñ se tū mat dekh mujhe
maiñ vahī huuñ jo tirī jaan huā kartā thā
mere rone pe use aaj hañsī aatī hai
merī chup par jo pareshān huā kartā thā
is qadar shahr meñ mash.hūr thī vahshat merī
maiñ jo rotā thā to e'lān huā kartā thā
us ke rone pe manāte the moharram ham log
us ke hañsne hī se ramzān huā kartā thā
mujh se mil kar koī jaatā thā bahut ḳhush ho kar
maiñ use dekh ke hairān huā kartā thā
dil ye hairan pareshan hua karta tha
jab koi dukh mera mehman hua karta tha
itni hairat bhari aankhon se tu mat dekh mujhe
main wahi hun jo teri jaan hua karta tha
mere rone pe use aaj hansi aati hai
meri chup par jo pareshan hua karta tha
is qadar shahr mein mashhur thi wahshat meri
main jo rota tha to e'lan hua karta tha
us ke rone pe manate the moharram hum log
us ke hansne hi se ramzan hua karta tha
mujh se mil kar koi jata tha bahut KHush ho kar
main use dekh ke hairan hua karta tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.